Sunday, April 12, 2009

Best Poem for 4th yearites by a 4th yearite

This Saturday, we had KU farewell party where one of our friends from Electrical, Neeraj Tripathi came out with an exceptionally sentimental poem mentioning the lives of BHU dwellers. I hope you all would like it too


Raah dekhi thi is din ki kabse
aage ke sapne saja rakhe thhey naajane kab se
bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko


par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai


jin baton ko lekar rote the
aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai


kaha karte the ..badi mushkil se char saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya


na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
wapas na kar paane wali baatein reh gayi,


meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega


jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padhega


KAUN MERI gaadi mujse pooche bina lejayega
kaun mere naye naye naam banayega
kaun sem ke ek raat pehle padhayega,
kaun girlfriend ka naam le leke chidhyega...



kaun kam number aane pe dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega


VT par cold coffee kis ke saath piyoonga
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga

mere class mein rehte hue meri proxy kaun lagayega....
cold drink ki shart pe ladkiyon ke tyre ki hawa kaun nikalwayega...
number aane par maar kaun lagayega....
girl friend ke samne neecha kaun dikhayega...


party party karke jaan kaun khayega...
aur cafe lejakar khali purse kaun dikhayega....

lan par games kiske saath khelunga....
aur jisne maara usko pakad kar kaise pelunga...

ghar waalon ko fanti ke baare mein kaun batayega...
aur apne saamne dant padwakar kaun daant dikhayega....


ji bhaiya kehkar meri baat kaun maanega....
itne respect se aur kaun pehchanega....

kisko mein apni aisi pakau poems sunaunga....
basti jakar un bachhon ko kaise padhaunga,...
aur gussa hue vishwakarma ko kaise manaunga...
pata nahi kisse itna pyaar paaunga...

aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein


mere gaano se pareshaan kaun hoga
kabhi muje class mein sote dekh hairaan kaun hoga


kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai


movies mein kiske saath dekhhonga
kis ke saath boring lectures jheloonga


mere farzee certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega


achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga


doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye sab fir kar payenge


raat ko 2 baje kuch khane lanka kaun jayega
tez gaadi chalane ki shart kaun lagayega


kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega


meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga......

3 comments:

Unknown said...

very nice poem Neeraj..
the college are really cherished..
we all also dream to live those days again


shashank jain
Mech 08

Unknown said...

tooooooooooo nice
college days r really unforgetbl

Unknown said...

great poem
sonam