Rarely it happens that you come across a person with which you develop a relation as compatible as your own siblings. During my stay at Kahalgaon, I came across a similar person – Naveen Kumar. Words fall short if I ever think of describing the support he gave to me during the worst of my times.
Zindagi ne Aisa rang khilaya mujhe tumse milaya…
Ajnabiyon ke beech apna sa paya…
Logon ke beech par logon se alag sa nazar aaya….
Be-suri dunon ko tumne sur dilaya…
Meri nadaniyon ko bachpana bataya, aur miujhe jeene ka rasta samjhaya…
Khwabon mein aa ke bade bhai jaisa sneh barsaaya….
Iss duniyan ki kathnayiyon aur matlabipan se jujhana sikhaaya….
Raste to the kai, par sahi rasta to tumne hi bataaya…
Birthday pe tumhare hi idea ne surprise karaya..
Achi dosti kya thi ye tumko pa ke hi samajh mein aya..
Zindagi ne phir apna rang dikhlaya..
Iss aage badhati hui life ne alag hone ka time batlaya..
Jab tumse alag hua to inn akhon ne mess ki rahon me, club ki sadkon
mein, edc ki raste aur tumhare khali room mein tumhari talash ki…
Nahi mila to tumhari yadon se hi baat ki..
Kuch yadon se muh moda..
Nayi jagah pe fir se naya jivan sanwaara..
Office mein tumhe to nahi par tumhar hidayaton aur salah ko sath paya..
Unhi ko tumhara ansh samajh ke apne se himaat rakhne ko kehlaya..
Tumhari sneh, dosti, adaon, care ne hamesha yadon ko taja karaya..
Aur tumhe maine apne bagal mein hi baitha paya…
Suuni sadkon pe sath chahiye..
In andhere galiyon ko abhi bhi tumhari prakash chahiye..
Suraj nahi sahi, par chand jaisi roshni ki talash hai..
Iss jindagai mein kabhi-kabhi milte rehana yahi ek aas hai..